Transcript · Hindi

Hindi transcript

Is video ko dekhiye doston. Yeh koi Ramlila Maidan ya India Gate nahi hai.

Yeh literally ek airport hai jiski terminal building ke andar log protest march nikaal rahe hain.

Nahi chalegi, nahi chalegi! Tanashahi nahi chalegi!

Pichle teen dino se India ke lagbhag har major airport par afra-tafri machi hui hai. Log chilla rahe hain, cheekh rahe hain.

Ab de do! Teen baje se jawab puch rahe hain tumse!

Haalat bahut buri hai aur iske peeche iklauta karan hai ek company: Indigo, jo ki desh ki sabse badi airlines hai.

Pichle teen dino mein Indigo airlines ki lagbhag 1,450 flights cancel hui hain aur kai hazaron flights delay hui hain.

Iski wajah se lakhon passengers desh bhar mein airport par phase rahe. Kai yatriyon ko puri raat airport par guzarni padi.

Jawab mein airline ek ke baad ek bahane deti rahi aur dhang se koi information communicate nahi ki.

Sawal yeh hai ki desh ki sabse badi airlines is tarike se achanak se kaise collapse ho gayi?

Iske peeche karan hai Indigo ki mismanagement aur shayad se sarkar ko blackmail karne ki koshish.

Kuch samay pehle ki baat hai doston, DGCA ne naye flight duty time limitation rules banaye.

Jisse pilots aur crew ko proper rest mil sake aur passengers ki safety better ho sake.

In naye rules ke anusar pilots aur crew ke liye weekly rest period 36 ghante se badhakar 48 ghante kar diya gaya

aur daily working hours 8 ghante kiye gaye.

Iske alawa night landings ko 6 se ghatakar 2 kar diya gaya.

In rules ka matlab hai ki ab same number of flights ko operate karne ke liye airlines ko zyada pilots aur crew members hire karne padenge.

In rules ko originally March 2024 mein implement kiya jana tha

lekin tab Indigo aur baaki airlines ne kaha nahi yeh toh bahut jaldi hai please isse delay karo

kyunki humein thoda samay chahiye naye pilots aur crew members ko hire karne ke liye.

Lekin 18 mahine ka time diye jaane ke baad bhi Indigo ne dhang se hiring nahi kari.

Airlines Pilot Association ke President Sam Thomas ka kehna hai ki jab bhi rules airlines ke favour mein nahi hote,

toh airlines flight delay kar deti hain ya cancel kar deti hain taaki sarkar par rules change karne ka pressure banaya ja sake.

Isliye kaha ja raha hai ki is tarike se flights ko cancel karna yeh koi planning failure nahi tha balki ek calculated strategy thi.

Jaan-bujhkar afra-tafri macha do airport par taaki DGCA majboor ho jaye in rules ko wapas lene par.

Aur exactly aisa hi hua doston.

DGCA ne 5 December ko apne rule ka ek bada important point ab withdraw kar liya hai.

Leaves ko weekly rest mein count karna allow kar diya hai jo pehle nahi hota tha.

Iske alawa DGCA ne 10 February tak Indigo ko ek one-time exemption de di hai pilot ke night duty rules se.

Is pure mudde ke peeche doston ek root cause hai aviation sector ka India mein, ek monopoly ya duopoly ban jana.

Aaj ke din Indian aviation ke market mein Indigo ka market share 65% par hai aur Air India ka 30% par.

In dono ke alawa lagbhag saari airlines khatam ho chuki hain.

Toh aaj ke din agar ek passenger khada hoke bole ki main Indigo ko boycott karna chahta hoon, yeh literally possible hi nahi hoga.

Yeh bade afsos ki baat hai doston kyunki aaj se 20 saal pehle dher saare options hua karte the.

Go Air, Air Asia, Jet Airways, SpiceJet, Kingfisher Airlines, ek samay par itni saari airlines hoti thi, consumers ke paas choice thi.

Lekin is maujuda sarkar ki policies ki wajah se desh ka almost har ek sector monopoly ya duopoly ki taraf badhta ja raha hai.

Aur yeh consumers ke liye bilkul bhi achi khabar nahi hai.

End of transcript · 646 words

iPhone app Translate videos on your iPhone Paste a TikTok, Instagram or X link, add subtitles in your language and save the video to Photos.

Read any video in your language

Paste a link from X, TikTok, YouTube or Instagram. You get a page like this one.