Hindi transcript
Guys, guys, guys, guys, listen, listen, listen. I know, I know AWS nahi chal raha hai, AWS down hai.
But why are we not creating our own AWS?
Hamare paas code hai, hamare paas devs hai, fir bhi hum kyun nahi bana rahe hain apna?
Why are we dependent on a third-party cloud provider?
Ek kaam karo, Akshay ko bulao. Akshay ko pata hai kaise use karna hai, woh use kar raha hai.
Aur uske liye maine training bhi karayi hai, uska alag se maine certification karwaya hai.
Toh Akshay, idhar aao. Batao inko zara kaise use karna hai.
Nahi, Rakesh ko chhod do. Rakesh toh US ja raha hai, woh toh onsite pe ja raha hai, woh effort nahi daalega.
Tum toh yahan pe ho na 10 saal se? Agle 10 saal bhi yahin rehna hai.
Toh tum toh seekho aur tum toh sikhao team ko.
Achha, MySQL bhi nahi chal raha hai?
Bhai, mujhe ek toh yeh cheez nahi samajh aa rahi ki har koi apna apna SQL kyun use kar raha hai?
Akshay, tum ek kaam karo.
Poori team ka ek saath, theek hai? One single SQL, that's what I need.
Apna ek SQL banao and let's call it Our SQL.
Theek hai? We are a family over here, right?
Toh apna ek family ka SQL banao, or let's call it Family SQL.
Koi sa banao aur woh team ko do sabko.
Theek hai? Chalo, abhi mujhe agli meeting ke liye jaana hai.
Toh us meeting ke baad fir hum yeh dobara meeting karte hain aur kal wali meeting ke baare mein discuss karte hain, theek hai?
End of transcript · 271 words