ब्रेकअप के बाद एक्स को न्यूज़ीलैंड में नौकरी, नई गर्लफ्रेंड को फाइव स्टार में खाना
Theek hai, aap hi bataiye. Do saal tak maine ek ladke ko date kiya.
Lekin... lekin uske paas 200 rupaye nahi hote the ki woh mere saath kahin bahar jaake kuch kha sake.
Jab bhi bolti thi, kehta tha, "Baby paise nahi hai, paise nahi hai." Maine socha theek hai main de deti hoon.
Pyaar toh karta hai, pyaar toh karta hai.
Ek baar bola Burger King khaane chalte hain.
Kehta hai, "Baby ghar pe bana lenge." Arre burger ghar pe kaise bana lenge baby?
Woh sauce... woh sauce Burger King ke burger mein hi aata hai.
Theek hai, maine pay kiya. Phir maine pay kiya. Maine socha kabhi kama lega, kabhi kama lega.
Kamaya hi nahi.
Chhod diya maine. Aur ab?
Ab New Zealand mein job lag gayi hai uski.
Haan, mere chhodte hi New Zealand mein job lag rahi hai.
Girlfriend bana liya usne.
Five star hotel mein jaake khaana khila raha hai usse.
Mere liye... mere liye paanch rupaye nahi hote the uske paas.
Aur usko jaake khaana khila raha hai.
Saale!
Meri kismat itni kharab hai na.
Bye.
Bahut bura lag raha hai.
End of transcript · 187 words